1 Mobile Phone Mein 2 Whatsapp Kaise Chalaye
2 Whatsapp Kaise Chalaye: Jese jese whats app ka isteemaal badhta ja raha hai vese hi aajkal whatsapp tricks bhut popular ho rahi hai aur unme se ek hai run dual whatsapp account.
Aajkal android mobile mein dual sim feature jada isteemaal mein aane laga hai aur yahi wajah hai ki bhut se log apne dono numbers par whats app use karna chahte hai. Whatsapp messenger ek mobile par sirf ek hi account download aur install karne ki facility deta hai aur agar aap ko dusare number par whatsapp chalana hai to pahle number ko remove karna padta hai. Aaj hum aapko batayenge ki aap ek android phone mein multiple whatsapp accounts kaise install kar sakte hai.
1 Phone Mein 2 Whatsapp Kaise Chalaye
Vese to 1 android phone mein 2 whatsapp download karne ke bhut se tarike hai par is article mein hum aapko dual whatsapp number chalane ke best tarike bata rahe hai. Ek mobile par do whatsapp install karne ke 2 tarike hai. Pahle tarike mein hame mobile root karna hoga aur dusare mein hame ek aur app install karni hogi. Is article mein hum aap ko dono tarike bata rahe hai aap ko jo tarika acha aur aasan lage use follow kare. To aayie jante hai dual sim mobile mein 2 whatsapp kaise chalaye.
Pahla Tarika : Mobile Root Karke
Agar aap ke mobile mein whatsapp install hai aur aap apne dusare number par bhi wassup shuru karna chahte hai to ye ek kargar tarika hai. Is method se aap ek mobile mein jitaney chahe utane number par whatsapp(unlimited whatsapp account) chala sakte hai.
2 Lines for Whatsapp
- Sabse pahle aap google play store open karke 2 Lines for Whatsapp search kare.
- Ab is app ko download kare install kare.
- App install hone ke baad jab aap ise open karenge ye aap ko mobile root karne ki permission mangega.
- Permission dene ke liye aapko Grant par click karna hoga aur next steps follow karne honge.
- Ab aap ko ek list dikhegi jisme aapka mobile number dikhega. Agar aap aur mobile number add karna chahte hai to “Add a new line for whatsapp” par click kare.
- Number add karne ke baad aapko number verify karna hoga.
- Ab aapke naye number par wassup start ho gaya hai. Agar aap purane number wala wassup isteemaal karna chahte ho to 2 line for whatsapp account open kare aur purane number par switch kare.
Dusra Trika : Without Mobile Rooting
Agar aap bina mobile ko root kiye 1 phone mein 2 whatsapp run karna chahte hai to ab ye possible hai. Whatsfapp, whatsmapp aur OGWhatsapp aisi kuch applications hai jo mobile mein 2 wassup accounts chalane mein help karti hai. Niche hum OG Whatsapp ko isteemaal karne ke steps bata rahe hai.
- Sabse pehle aapko app store se OG Whatsapp ka app download karna hoga.
- OGWhatsapp install karne se pehle apne old whatsapp message ka backup bana le.
- Ab apna old whatsapp uninstall kare. Aur OG Whatsapp ko download kare.
- Ab ise install kare aur verify karne ke liye purana number dale jo kuch der mein apne aap verify ho jayega.
- Ab aapko apne mobile mein whatsapp install karna hai. Aur ise verify karne ke liye isme apna new mobile number dale jo ki isi phone mein chal rha ho. Aur agar aapka ye mobile single sim ka hai to thodi der wait kare, thodi der mein aap ask verify option use kar ke verification kar sakenge.
- Ab aap 1 hi mobile phone mein 2 whatsapp number chala rhe hai.
Agar aap ko OG Whasapp istall karne ke baad koi error aa rha hai to aap whatsfapp install kar sakte hai. Whatsfapp ko istemaal karne ka tarika bhi vesa hi hai jaisa upar batatya gaya hai. Is app ke jariye aap ek mobile phone mein 3 whatsapp bhi chala sakte hai.
Dosto agar aapko mobile phone par whatsapp chalane mein koi pareshani aa rhi hai to hame bataye aur aap ko 1 Mobile Phone Mein 2 Whatsapp Kaise Chalaye ka ye article kaisa laga comment karke bataye.