Vajan badhane ke upay: Agar aap apne duble patle shareer se pareshaan hai aur wajan badhane ke liye koshish karne ke baad bhi ab tak safal nahi hue hai to aap is leekh mein bataye hue yoga aasan ko apne daily routine mein shaamil kare. Abhi aap soch rahe honge ki yoga aur excersise to weight kam karne ke liye hi kiye jaate hai, par sach to ye hai ki weight badhana ho ya ghatana ho yoga dono mein karna jaruri hai, bas hame pata hona chahiye ki wajan badhane ke liye kon se yog aasan hai aur kam karne ke liye kon se.
Yoga se healthy tarike se bina kisi side effect ke hum apna weight badha sakte hai, halanki yoga ke sath ek achi diet bhi jaruri hai. Jis tarah kuch yogasana aur excersises wajan kam karne ke liye kaargar hoti hai thik usi tarah kuch aasan mota hone ke liye bhi kar sakte hai. Is leekh mein hum weight gain karne ke liye yog guru baba ramdev ke bataye hue yoga tips bata rahe hai.
Vajan Badhane ke Upay : 6 Yoga Tips
Subh jaldi uth kar in yogaasan ko karne se jaldi fayda milta hai. Niche bataye gaye yoga ko kisi yog expert ki dekh rekh mein kare.
Sarvangasana Yoga
- Teji se vajan badhana chahte hai to aap sarvangasana jarur kare.
- Is aasan mein aapko neeche leet kar apne pairo ko upar uthana hota hai, aapke kandhe aur gardan neeche ki aur hi honge, aapke pair upar hone chahiye.
- Is aasan se blood ka circulation thik hota hai, digestion thik hoti hai aur bhukh badhne lagti hai.
Surya Namaskar Yoga
- Surya namaskar ek aisa yoga hai jisse body mein energy aati hai aur shareer furteela hota hai. Healthy tarike se apna weight badhane ke liye surya namaskar ke kam se kam 2 aasan karne chahiye.
- Suraya Namaskar ke liye sabse pahle seedhe khade hokar dono haath jod kar namaskar ki postion bana le. Ab dhere dhere apne shareer ko jhukaate hue haatho se pairo ko chune ki koshish kare.
- Ab aap normal pahle wali postion mein aa jaye aur ek pair ko piche karke dusare pair ko aage ki aur karke ghutna mod le. Ab isi position mein kuch der rahe.
- Suray namaskar ka parbhav kandho(shoulders) aur chaati(chest) par jada padta hai. Vajan badhane ke upay ke is yogaasan mein 12 position hoti hai, aap har kirya kam se kam 5 seconds ke liye jarur kare.
Savasana Yoga
- Shavasan ko karna bhut hi aasan hai. Isme aapko neeche seedha leet jaana hai fir apni aankhe band karke apne hath pairo ko dhela chod de.
- Is aasan se aapke shareer ko na sirf aaram milega balki vajan bhi badhega.
Bhujangasana Yoga
- Bhujangaasan karne ke liye sab se pahle neeche pet ke bal ulta leet jaye aur apne haath side mein nikal le. Ab apne haatho ke sahare apne gardan aur chaati ko dhere dhere piche le jaye
- Weight badhane ke liye ye aasan bhut laabhkaari hai.
Matsyasana Yoga
- Jin logo ko bhukh kam lagti hai unke liye ye aasan bhut hi faydemand hai. Is aasan ko karte waqt sharer machli jaisa dikhta hai isliye ise matsyasan kehte hai. Is aasan se pet ki aante aur maanspeshiya majboot hoti hai aur sahi kaam karti hai, jisse pet ki bimari nahi hoti.
Shirshasana Yoga
- Ye aasan ladkiyo ko wajan badhane mein bhut kaargar hai, iske sath is aasan se manspeshiya majboot aur lachili banti hai aur pachan tantar ko fayda hota hai.
- Jane Face Mota Karne ke Tips in Hindi
Weight Increase Karne ki Excersise
Upar bataye gaye yogaasan ke ilaava aap running, long walking, swimming aur cycling bhi kar sakte hai. Ye excersise karne se aapki body ki paachan kriya darust hogi aur mussels active hongi jisse aap ko bhuk bhi lagegi aur neend bhi aayegi.
- Weight Gain Karne Ka Diet Plan
- Dublepan se Chutkara Pane ke Tips
- Pet ki Bimariyo Ka Gharelu Upchaar
- Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay
Dosto Yoga se Vajan Badhane ke Upay: 6 Weight Gain Tips in Hindi ka ye leekh kaisa laga hame bataye aur agar aap ke pass teji se mota hone ke gharelu nuskhe, sujhaav ya anubhav ho to hamare sath share kare.
sir ma jldi se mota hona chahta hu
Hemant weight badhane ke liye ye leekh padhe >> http://kyakyukaise.com/category/weight-gain/
bohot hi aasan he… mai ye sab yoga daily krta hu…. in sabka bohut fyda hai… dosto daily subha yoga koro fyda apne app dikh jaigi
Sir mai 29 years ka hu wajan sirf 43 kg h kabjiyat sur gas rhta h kya kru weight nhi badta
Shyam kabz aur gas ki wajah se pachan kriya par bura parbhav padta hai, aap pet se judi samasyao ka ilaj kare aapko benefit milega. Aap ye lekh padhe aur follow kare.
Kabz aur gas ka gharelu upchar :: http://kyakyukaise.com/category/pet/
Weight badhane ke upay :: http://kyakyukaise.com/category/weight-gain/
hi nara name jonny kumar h ma bhahut patla hu ma bhahut khata hu per kai faida nanhi hota koi upai battai
Jonny aap mota hone ke liye ye sabhi articles padhe aur apnaye :: http://kyakyukaise.com/category/weight-gain/
Haan mein yuga korna hamare body ke liye lab dayak hein
Yuga hamare sarer ke liye ek achi aadat hein
Meri umar 15 year h or mujhe kbaz or gas bnta h my bhot ptli hu mata hone le liye kya kru
Kirti ji kabz aur gas ke karan digestion kamjor hone lagta hai jisse kuch bhi khaya piya nahi lagta, aap pahle pet ki bimariyo ka upchar kare. Kabz aur gas ke ilaj ke gharelu nuskhe aap yha padh sakti hai :: http://kyakyukaise.com/category/pet/
Kya bajan badane wale yoga ko ghar pr khud kar skate hai
शिवम् आप वजन बढ़ाने का योग घर पर कर सकते है पर अगर आपको योगा करने के तरीके की जानकारी नहीं है तो शुरुआत में किसी योग गुरु की देख रेख में सीखे.
Mara bajan kam h liver ki problem h karab h
लिवर के रोगों का इलाज के घरेलू देसी नुस्खे यहाँ पढ़े :: http://kyakyukaise.com/liver-ke-upay-home-remedies-in-hindi/
wajan badane ke diet mein hame sabse acha jo Patanjali ko ek churan dudh me milakar lhane wala upay he wo mujhe pasand aya par agar ghar me rojan dudh na hone par uske option me kya kar sakte he… bahar se lane wale dudh me milawat bohot hoti…
Wajan badhane ka upay bataya yoga patanjali ka kon sa product use kare mujhe bataye
Sir me bhut patli hu khati bhut hu PR lgta bilkul bhi nhi hai
Kya ye 5 yog daily kar sakte hebya inme se ek hi koi daily kar sakte he
वजन बढ़ाने के लिए आप इन सब योग आसान को हर रोज कर सकते है बस इन्हें करने से पूर्व सही तरीका जरूर सिख ले.
Bahut acha hai yr very nice.